Wednesday, August 26, 2009

ye kaisa shankhnad hai....

ye kaisa shankhnad hai....
ye kaisa aalap hai....
ye waqt kyu thahar gaya....
ye raqt kyu sihar gaya...

tu ruk nahin....thahar nahin....
tu gir nahin....tu dar nahin.....

kya hua jo swapn samooh toot gaye....
lakshya ki rah par tu badhta chal bina ruke....

jin ankhon me ahankar hai....
jinki bataon me lalkar hai....
dikha de unhe bhi tu teri mitti bhi prachand hai....
tera shaurya bhi akhand hai.....

kya samman tune kho diya....
kya luta jo tu ro diya....
uth ab ho khada....
phir yun lad jara....
khoya maan phir mile....
toote swapn phir khile....

teri jeet tujhe pukarati....
teri dunia tujhe niharati....
sun jara wo geet bhi....
jo teri atma ga rahi.....
us geet ki umang me....
antaratma ki tarang me....
phir tu lad jara....phir tu chal jara.....

tu ruk nahin.....thahar nahin....
tu ruk nahin.....tu gir nahin.....

No comments:

Post a Comment